Saturday 15 July 2017

// // Leave a Comment

Youtube Kaise Chalaye Slow Internet Par

Aap sabhi jante he india me internet speed slow hai aise me jab hame youtube par video dekhna ho to kafi problem aati he me aapko slow speed me youtube kaise chalaye uske bare me ek app ke bare me bta rha hu abhi hal hi me youtube ne india me slow internet valo ke liye youtube go naam se app launch kiya he jiski help se aap kam internet speed me bhi youtube video ko aasani se dekh sakte ho

Youtube Go App Kaise Install Kare

Youtube go app ko install karne ke liye aapko play store ko use karna he play store par aap youtube go search karke app ko install kar sakte hai
abhi testing ke liye eska bita version nikala gya he kuch samay bad eska full version aa jayega tab aap es app ko update kar lena jisse aapko full option mil jayenge

Youtube Go App Kaise Use Kare

App install karne ke bad app ko open kare or apni pasand ke hisab se language select kare yah app hindi ke alava kai indian language ko support karta hai es app ka look ekdam simple hai or eska size bhi 8mb ka jisse esko har koi kam ram me bhi aasani se use kar sake es app me video par jaise hi aap click karoge to aapko do option milenge ek download ka or play ka aap play par click karke online video dekh sakte ho or agar aap download par click karte ho to aapko alag alag size or format me esko download karne ka option mil jayega video ekbar download karne ke bad aap jab chaho video ko bina internet ke dekh sakte ho or apne friends ke sath share bhi kar sakte ho


video download karne ke bad video saved option me save ho jayega vha se aap video open karke offline kabhi bhi dekh sakte ho
aapko youtube kaise chalaye slow internet par eske bare me youtube go app ki jankari kaisi lagi comment karke jarur bataye or koi help chahiye to bhi aap comment kar sakte hai
Read More
// // 1 comment

Portable Software Kya Hai Or Kaise Banaye

Portable software kya hota he or kisi bhi software ko portable kaise banate hai eske bare me mene bataya hai


Portable Software Kya Hota Hai ?

Dosto portable software ek prakar ke software hi hote he jinhe hum bina install kiye bhi computer me use kar sakte hai.es prakar ke software ko use karne se computer ki hard disk par load nhi padta hai or computer fast work karta hai.normally portable  un software ko hi banaya jata jo size me bahut bade hote he or unko use karne par computer ki ram or cpu par jyada load padne se computer heng hone lagta hai or kabhi kabhi un software ko bhi portable banaya jata he jinhe hum kam use me lete he ya fir mahine me ek do bar hi use karte hai. Eese software ko portable bana dene par computer ka hard disk me space bhi bana rahta hai jisse hum kisi or software ko install kar sakte hai.
ham kisi software ko portable bana sakte hai or yadi hum portable software bana banaya download karna chahte he to ese portable software download bhi kiye ja sakte hai.

Portable Software Ko Use Karne Ke Fayde

1. dosto kisi bhi software ko portable bana kar use karne se vo software heng nhi hota hai or acche tarike se work karta hai.
2.portable software ko ham ek computer se dusre computer me usb me dalkar bhi use kar sakte he esa karne par hamne pahle wale computer me jo kam kiya tha uska data bhi save rahta he jisse hame us software ko use karte time setting ki problem nhi aati hai.
3. portable software ko install nhi karna padta he es wajah se ham kisi bhi computer me bina software install kiye bhi apna kam kar sakte hai.

Portable Software Kaise Banaye

Portable software ham direct banye hue bhi download bhi kar sakte he or yadi hum jo hamare pas software he unko portable banana chahte he to bana sakte hai. portable software banane ke sabse pahle ham jis software ko portable banana usko ek bar computer me install karna padega or fir use software ki jo install hone ke bad hard disk me jo file save hogi usko copy karke dusri disk me save kar lenge or fir us software ko wapas uninstall kar denge.
Step 1
Sabse pahle apne computer me se kisi bhi software ko install kare.

Step 2
software pura install ho jane ke bad us software ki jo files install hue unko dunde jo aapke computer me disk c me installed he ab un files ko copy kare or kisi dusri disk me ya fir usb me dal de.

aapke computer me ye files es jagah mile jayegi vha se us pure folder ko copy kar le
Example -
C:\Program Files\Adobe\Reader 8.0\Reader
Step 3
Files kisi dusre drive ya usb me copy karne ke bad ab us software ko apne computer se uninstall kar de .


software uninstall ho jane ke baad ab aapne jaha par us software ki files copy ki he vha jakar un files me se adobe application ki files ko open kare esa karne par ye software ab bina install kiye bhi start ho jayega. Es prakar  ham kisi bhi software ki portable files bana sakte hai.

Portable Software Download Kaise Kare

portable software Zip file me download hote he jisko ham winrar se extract karne ke bad direct bina install kiye use kar sakte hai. portable software download  karne ke liye softpedia.com site ko kare ya fir portable software download likh kar google pe search kare.me aapko softpedia se portable software download karne ke bare me batata hu.
sabse pahle es site ko open kare
http://www.softpedia.com/get/PORTABLE-SOFTWARE/
ab aapke samne alag alag cotegories open hogi usme aap jis categories ka portable software download karna chahte he usko select kare. ab hamare samne bahut se software open honge jinme se hame jis software ko download karna he us par click karenge.

ab download button par click kare or ab aapke samne do server open honge jinme se kisi ek per click kar de esa karne par software Zip file me download hona start ho jayega . ab us Zip files ko winrar software se extract karle or extract ho jane ke ab aap us software ke folder ko open kare. ab aap es software ko bina install kiye direct hi use kar sakte he. 
To friends aapko portable softwear ke bare me yah post kaisi lagi comment karke jrur bataye or koi problem aaye to bhi bataye
Read More